tamam-umr chala hun magar chala na gaya 
teri gali ki taraf koi rasta na gaya 
tere KHayal ne pahna shafaq ka pairahan 
meri nigah se rangon ka silsila na gaya 
baDa ajib hai afsana-e-mohabbat bhi 
zaban se kya ye nigahon se bhi kaha na gaya 
ubhar rahe hain fazaon mein subh ke aasar 
ye aur baat mere dil ka Dubna na gaya 
khule darichon se aaya na ek jhonka bhi 
ghuTan baDhi to hawaon se dostana gaya 
kisi ke hijr se aage baDhi na umr meri 
wo raat bit gai 'naqsh' ratjaga na gaya
        Ghazal
Tamam-umr chala hun magar chala na gaya
Naqsh Layalpuri

