tamam umr baDe saKHt imtihan mein tha
wo fasla jo tere mere darmiyan mein tha
paron mein simTa to Thokar mein tha zamane ki
uDa to ek zamana meri uDan mein tha
usi pe ho gaya qurban do dilon ka milap
wo jaedad ka jhagDa jo KHandan mein tha
tujhe ganwa ke kai bar ye KHayal aaya
teri ana hi mein kuchh tha na meri aan mein tha
Ghazal
Tamam umr baDe saKHt imtihan mein tha
Waseem Barelvi