tamam umr azabon ka silsila to raha
ye kam nahin hamein jine ka hausla to raha
guzar hi aae kisi tarah tere diwane
qadam qadam pe koi saKHt marhala to raha
chalo na ishq hi jita na aql haar saki
tamam waqt maze ka muqabla to raha
main teri zat mein gum ho saka na tu mujh mein
bahut qarib the hum phir bhi fasla to raha
ye aur baat ki har chheD la-ubaali thi
teri nazar ka dilon se moamla to raha
Ghazal
Tamam umr azabon ka silsila to raha
Jaan Nisar Akhtar