tamam-tar usi KHana-KHarab jaisa hai
mere lahu ka nasha bhi sharab jaisa hai
naha raha hun main us ke badan ki kirnon mein
wo aadmi hai magar mahtab jaisa hai
karun talash jawahar to ret hath aae
samundaron ka chalan bhi sarab jaisa hai
jala gaya mujhe apne badan ki ThanDak se
wo jis ka rang dahakte gulab jaisa hai
'qatil' kaam-o-dahan apna sath den ki na den
wafa ka zaiqa lekin shabab jaisa hai
Ghazal
Tamam-tar usi KHana-KHarab jaisa hai
Qateel Shifai