tamam shahr mein us jaisa KHasta-haal na tha
magar wo shaKHs ki phir bhi koi malal na tha
ye aur baat main apni ana mein qaid raha
wagarna us ka pighalna to kuchh muhaal na tha
bichhaD gaya hai to ye kah ke dil ko bahlaun
wajud us ka mere haq mein nek-fal na tha
samajh raha tha muhafiz jise main barson se
mujhi ko qatl karega ye ehtimal na tha
simaT gai hai sabhi ke KHulus ki chadar
ye jazba pahle to is darja paemal na tha
KHamosh sunte rahe sab amir-e-shahr ka hukm
kisi ke lab pe koi harf-e-ishtial na tha
Ghazal
Tamam shahr mein us jaisa KHasta-haal na tha
Farooq Bakshi