tamam shahr mein tira-shabi ka charcha tha
ye aur baat ki suraj ufuq pe nikla tha
ajib wajh-e-mulaqat thi meri us se
ki wo bhi meri tarah shahr mein akela tha
main sab samajhti rahi aur muskuraati rahi
mera mizaj azal se payambaron sa tha
main us ko kho ke bhi us ko pukarti hi rahi
ki sara rabt to aawaz ke safar ka tha
main gul-parast bhi gul se nibah kar na saki
shuur-e-zat ka kanTa bahut nukila tha
sab ehtisab mein gum the hujum-e-yaran mein
KHuda ki tarah mera jurm-e-ishq tanha tha
wo tere qurb ka lamha tha ya koi ilham
ki us ke lams se dil mein gulab khilta tha
mujhe bhi mere KHuda kulfaton ka ajr mile
tujhe zamin pe baDe karb se utara tha
Ghazal
Tamam shahr mein tira-shabi ka charcha tha
Mansoora Ahmad