tamam shahr mein koi bhi ru-shanas na tha
KHata yahi thi ki lahja pur-iltimas na tha
phir us ne kis liye rakkhe hawa pe apne qadam
wo gard gard tha sukhe labon ki pyas na tha
main apne aap luTa aasman ki KHwahish se
zamin ka chehra meri nind se udas na tha
ye kis ne aankh ko nanga kiya hai dariya mein
mahakti ret pe koi bhi be-libas na tha
udas ho ke saja carnas ke patthar par
zamin pe TuT ke girta main wo glass na tha
Ghazal
Tamam shahr mein koi bhi ru-shanas na tha
Zafar Siddiqui