tamam shahr ki KHatir chaman se aate hain
hamare phul kisi ke badan se aate hain
hum un labon se laga kar rahenge lab apne
suKHan tamam usi anjuman se aate hain
paDa hun us ke badan ke bides mein kab se
main kya paDhun jo ye name watan se aate hain
ki jaise tapta tawa aur bund pani ki
zamin pe hum bhi usi tarah chhan se aate hain
hum aap-biti sunate hain sada lafzon mein
ye sare sher hamein tark-e-fan se aate hain
zamane-bhar se hai 'ehsas-ji' ki chaal alag
har ek bazm mein wo bad-chalan se aate hain
Ghazal
Tamam shahr ki KHatir chaman se aate hain
Farhat Ehsas