tamam rang jahan iltija ke rakkhe the
lahu lahu wahin manzar ana ke rakkhe the
karam ke sath sitam bhi bala ke rakkhe the
har ek phul ne kanTe chhupa ke rakkhe the
sukun chehre pe har KHush ada ke rakkhe the
samundaron ne bhi tewar chhupa ke rakkhe the
meri ummid ka suraj ki teri aas ka chand
diye tamam hi ruKH par hawa ke rakkhe the
wo jis ki pak uDanon ke mo'tarif the sab
jale hue wahi shahpar haya ke rakkhe the
bana yazid zamana jo main husain bana
ki zulm baqi abhi karbala ke rakkhe the
unhin ko toD gaya hai KHulus ka chehra
jo chand aaine hum ne bacha ke rakkhe the
yunhi kisi ki koi bandagi nahin karta
buton ke chehron pe tewar KHuda ke rakkhe the
gae hain bab-e-rasa tak wo dastaken ban kar
'zafar' jo hath pe aansu dua ke rakkhe the
Ghazal
Tamam rang jahan iltija ke rakkhe the
Zafar Moradabadi