tamam raat wo jaga kisi ke wade par
wafa ko aa hi gai nind raat Dhalne par
jo sab ka dost tha har anjuman ki raunaq tha
kal us ki lash mili us ke ghar ke malbe par
wo zauq-e-fan ho ki shaKH-e-chaman ki KHak-e-watan
har ek ka haq hai mere KHun ke qatre qatre par
haqiqaten nazar aaen to kis tarah un ko
tassubaat ki ainak hai jin ke chehre par
chaman mein yun to the kuchh aur aashiyan lekin
giri jo barq to mere hi aashiyane par
karam mujhi pe tha sab baghban-o-gulchin ka
kisi ne qaid kiya aur kisi ne noche par
ye dasht-e-huzn hai karb-o-bala ka sahra hai
chalega kaun yahan ab 'wafa' ke raste par
Ghazal
Tamam raat wo jaga kisi ke wade par
Vafa Malikpuri