اردو हिंदी
Tamam raat paDi thi ki din nikal aaya | Shaahi Shayari
tamam raat paDi thi ki din nikal aaya

Ghazal

Tamam raat paDi thi ki din nikal aaya

Krishna Kumar Toor

;

tamam raat paDi thi ki din nikal aaya
abhi to aankh lagi thi ki din nikal aaya

yaqin ho puKHta to phir shab badal bhi sakti hai
ye baat us ne kahi thi ki din nikal aaya

ye moajaza bhi hamin par tamam hona tha
wo bas zara sa hansi thi ki din nikal aaya

main din nikalne ka waise bhi muntazir tha bahut
ye jaan KHwab hui thi ki din nikal aaya

sahar se pahle bhala din kahan nikalta hai
zara si baat bani thi ki din nikal aaya

zara sa dard hua tha ki dil chamak uTTha
zara si subh hui thi ki din nikal aaya

karen jo ghaur yahi hai nizam-e-qudrat 'tur'
ye raat KHatm hui thi ki din nikal aaya