tamam raat hawa chiKHti rahi ban mein
tamam raat uDi KHak dil ke aangan mein
hai aql zahr junun zahr-e-aql ka tiryak
ye raaz khul hi gaya hum pe bawle-pan mein
ye jugnuon ki chitaen ye sogwar faza
sulag uThe hain sharare nazar ke daman mein
sahar hui to bagulon ka raqs dekhenge
KHizan ne hum ko bulaya hai sehn-e-gulshan mein
main us se bhag ke jaun bhi to kahan jaun
chhupa hua hai koi roz-o-shab ki chilman mein
uThaun taisha-e-farhad be-sutun kaTun
ye aarzu to jawan thi mere laDakpan mein
main dil ki aag ko ghazlon ka rup deta hun
nahin harif kisi ka main sher ke fan mein
Ghazal
Tamam raat hawa chiKHti rahi ban mein
Noor Bijnauri

