اردو हिंदी
Tamam raat bujhenge na mere ghar ke charagh | Shaahi Shayari
tamam raat bujhenge na mere ghar ke charagh

Ghazal

Tamam raat bujhenge na mere ghar ke charagh

Habab Tirmizi

;

tamam raat bujhenge na mere ghar ke charagh
ki ye charagh hain KHun-e-dil-o-jigar ke charagh

in aansuon ko sitare salam karte hain
bujha sako to bujha do ye chashm-e-tar ke charagh

hua na aisa charaghan kabhi sar-e-maqtal
hatheliyon pe hain raushan burida-sar ke charagh

unhin pe chalne se manzil milegi ham-safaro
ye naqsh-e-pa hain kisi ke ki rahguzar ke charagh

is anjuman mein ujala rahega sadiyon tak
jala raha hun musalsal dil-o-nazar ke charagh

ye lal-qila ye diwar-e-chin ye taj-mahal
ye sab ke sab hain jalae hue bashar ke charagh

'habab' shahr-e-saba mein wo qumqumon ki bahaar
gali gali mein farozan the sim-o-zar ke charagh