اردو हिंदी
Tamam raat aansuon se gham ujalta raha | Shaahi Shayari
tamam raat aansuon se gham ujalta raha

Ghazal

Tamam raat aansuon se gham ujalta raha

Hafeez Merathi

;

tamam raat aansuon se gham ujalta raha
main gham ujal ujal kar KHushi mein Dhaalta raha

jawan meri himmaten buland mere hausle
hisar toDta raha kamand Dalta raha

bahut hi talKH tajraba tumhaari bazm mein hua
har aadmi meri ana ke bal nikalta raha

hain iltawa ki god ke palle sab us ke masale
kisi ko hal nahin kiya hamesha Talta raha

tere KHilaf is liye meri zaban na khul saki
main apni KHamiyon pe bhi nigah Dalta raha

KHayal-e-yar teri nigahdasht is tarah hui
dimagh thak ke so gaya to dil sambhaalta raha

'hafiz' kya sunaun apni KHwahishon ki dastan
pila pila ke dudh kitne sanp palta raha