اردو हिंदी
Tamam nur-e-tajalli tamam rang-e-chaman | Shaahi Shayari
tamam nur-e-tajalli tamam rang-e-chaman

Ghazal

Tamam nur-e-tajalli tamam rang-e-chaman

Darshan Singh

;

tamam nur-e-tajalli tamam rang-e-chaman
ye tera chand sa chehra ye tera gul sa badan

na Dagmagae qadam garche rah-e-ulfat mein
kahin the dasht-o-bayaban kahin the dar-o-rasan

hazar aae zamane mein inqalab magar
mizaj husn ka badla na ishq hi ka chalan

sabaat-o-sabr zaruri hai aadmi ke liye
shikan jabin pe na aae ba-waqt-e-ranj-o-mehan

ye baat aur hai naqid rahe zamana magar
jahan se miT nahin sakte nuqush-e-tesha-fan

mera dayar hai mehr-o-wafa ka gahwara
adu-e-mehr-o-mohabbat ka hai magar madfan

haqiqaton se ba-har-haal jo gurez kare
wo shairi hai na hikmat na wo hunar hai na fan

har ek ko jaan zamane mein apni pyari hai
aziz-tar hai magar hum ko jaan se bhi watan

bahut hi shor tha rangini-e-jahan ka magar
mila na hum ko yahan kuchh siwa-e-ranj-o-mehan

wo jaan-e-husn-o-latafat hi ban ke aaya hai
bahaar ghuncha-ba-ghuncha saba chaman-ba-chaman

hazar bar hua imtihan-e-ishq magar
na jaane husn hai kyun mujh se bad-guman 'darshan'