tamam KHushiyan tamam sapne hum ek duje ke nam kar ke
nibhaen ulfat ki sari rasmen wafaon ka ehtimam kar ke
na dur dil se kabhi tu jaana dil-o-jigar mein maqam kar ke
piyala-e-ishq ulaT na dena ai saqiya mai-ba-jam kar ke
rahi na mujh mein sakat zara bhi ki zulm tere sahun musalsal
milega kya tujh ko ai sitamgar ghamon ka yun azhdaham kar ke
main in ki nazron ke tir kha kar taDap raha hun yahan pe lekin
wo kitne be-fikr lag rahe hain sukun mera haram kar ke
miTani hai jo dilon ki duri to falsafa hai ye aazmuda
charagh-e-ulfat jalaen hum tum dilon ki nafrat ko ram kar ke
masarraton ke husul ka hai jahan mein bas ek yahi tariqa
ki sadgi se nibah kar lo talab ke jin ko ghulam kar ke
jahan-e-dil ki is iztirari se bahar aa kar chalo chalen 'shad'
KHushi ki mahfil ko phir sajaen udasiyon ko haram kar ke
Ghazal
Tamam KHushiyan tamam sapne hum ek duje ke nam kar ke
Shmashad shad