tamam khel-tamashon ke darmiyan wahi
wo mera dushman-e-jaan yani mehrban wahi
hazar raste badle hazar swang rache
magar hai raqs mein sar par ek aasman wahi
sabhi ko us ki aziyyat ka hai yaqin magar
hamare shahr mein hai rasm-e-imtihan wahi
tumhaare dard se jage to un ki qadr khuli
wagarna pahle bhi apne the jism-o-jaan wahi
wahi huruf wahi apne be-asar fiqre
wahi bujhe hue mauzua aur bayan wahi
Ghazal
Tamam khel-tamashon ke darmiyan wahi
Aslam Emadi