اردو हिंदी
Tamam KHalq-e-KHuda dekh ke ye hairan hai | Shaahi Shayari
tamam KHalq-e-KHuda dekh ke ye hairan hai

Ghazal

Tamam KHalq-e-KHuda dekh ke ye hairan hai

Shahryar

;

tamam KHalq-e-KHuda dekh ke ye hairan hai
ki sara shahr mere KHwab se pareshan hai

main is safar mein kisi moD par nahin Thahra
raha KHayal ki wo wadi-e-ghazalan hai

ye ek main ki teri aarzu hi sab kuchh hai
wo ek tu ki mere sae se gurezan hai

to hafize se tera nam kyun nahin miTta
jo yaad rakhna hai mushkil bhulana aasan hai

main us kitab ke kis bab ko paDhun pahle
visal jis ka hai mazmun firaq unwan hai