اردو हिंदी
Tamam husn-o-maani ka rang uDne laga | Shaahi Shayari
tamam husn-o-maani ka rang uDne laga

Ghazal

Tamam husn-o-maani ka rang uDne laga

Faiz Khalilabadi

;

tamam husn-o-maani ka rang uDne laga
khili jo dhup to pani ka rang uDne laga

ishaara karti hain chehre ki jhurriyan chup-chap
to kya badan se jawani ka rang uDne laga

jadid rang mein aaya jo misra-e-ula
hasad se misra-e-sani ka rang uDne laga

kitab-e-zist ke mafhum ko samajhte hi
yahan baDe baDe gyani ka rang uDne laga

jo daimi tha wahi rah gaya hai zehnon mein
jo aarzi tha kahani ka rang uDne laga

meri nazar se mili 'faiz' jab nazar us ki
to mere dushman-e-jaani ka rang uDne laga