tamam galiyon mein matam bapa tha jangal ka
yahan zarur koi silsila tha jangal ka
likhi thin wahshaten sahra ki meri aankhon mein
kitab-e-dil mein waraq khul raha tha jangal ka
hamare shahron mein ab roz hota rahta hai
wo waqia jo kabhi waqia tha jangal ka
wo is taraf ki pahaDi pe miThe jharne the
pa darmiyan mein rasta ghana tha jangal ka
mujh ek shahr mein aisa bhi tha udas koi
hamesha mujh se pata puchhta tha jangal ka
kisi ke sath ne insan bana diya hai ise
wagarna dil ye kabhi bheDiya tha jangal ka
jahan pe KHatm thi insaniyat ki had 'athar'
wahan pe dekha to ek rasta tha jangal ka
Ghazal
Tamam galiyon mein matam bapa tha jangal ka
Mirza Athar Zia