tamam ajnabi chehre saje hain chaaron taraf
meri bahisht mein kanTe uge hain chaaron taraf
lahu mein Dube hue daere hain chaaron taraf
main kaise jaun kahin hadse hain chaaron taraf
kitab dard ki paDh kar suna rahi hai hayat
aur aansuon ke farishte khaDe hain chaaron taraf
chalo ye KHub hua aaina jo TuT gaya
ab aks mere hi bikhre hue hain chaaron taraf
tera KHayal jab aaya dukhon ke sahra mein
mujhe kuchh aisa laga gul khile hain chaaron taraf
kabhi nadi ke badan par kabhi fazaon mein
hawa ne mere qaside likhe hain chaaron taraf
na meri aankhon mein ninden na KHwab ki pariyan
firaq azal se yahan ratjage hain chaaron taraf
Ghazal
Tamam ajnabi chehre saje hain chaaron taraf
Firaq Jalalpuri