tamam abr pahaDon pe sar paTakte rahe
gharib dahkan ke aansu magar Tapakte rahe
tamam mausam-e-barish isi tarah guzra
chhaten Tapakti rahin aur makin sisakte rahe
nihaarne ke liye jab na mil saka manzar
hum apni soKHta-samaniyon ko takte rahe
makan ashkon ke sailab mein Thahar na sake
makin palkon ki shaKHen pakaD laTakte rahe
wo hum pe barf ka tufan ban ke TuT paDa
hum apne aap mein shoala bane bhabhakte rahe
amir logon ki basti mein koi dar na khula
gharib log har ek dar pe sar paTakte rahe
'nawaz' luqme pe luqma diya hai hum ne magar
mohabbaton ki tilawat mein wo aTakte rahe
Ghazal
Tamam abr pahaDon pe sar paTakte rahe
Nawaz Asimi