tamam aalam se moD kar munh main apne andar sama gaya hun
mujhe na aawaz de zamane main apni aawaz sun raha hun
tazad-e-hasti ka falsafa hun uruj o pasti ka aaina hun
uTha hua ek ghurur-e-sar hun miTa hua ek naqsh-e-pa hun
ho kya tayyun meri hadon ka shumar kya meri wusaton ka
hazaron aalam base hain mujh mein main behad-o-be-karan KHala hun
azab-e-ehsas-o-agahi ke wo dil-shikan KHwab-pash lamhe
hazar aaine TuTte hain main jab bhi aaina dekhta hun
main na-shunida sada-e-sahra banunga aawaz-e-waqt 'kaifi'
zaban-e-alam pe aaunga kal main aaj ek harf-e-narsa hun
Ghazal
Tamam aalam se moD kar munh main apne andar sama gaya hun
Haneef Kaifi