tamam aalam-e-imkan mere guman mein hai
wo tir hun jo abhi waqt ki kaman mein hai
abhi wo subh nahin hai ki mera kashf khule
wo harf-e-sham hun jo ajnabi zaban mein hai
in aanganon mein hain barson se ek se din raat
yahi ruka hua lamha har ek makan mein hai
ye aks-e-ab hai ya is ka daman-e-rangin
ajib tarah ki surKHi si baadban mein hai
jahan dalil ko patthar se toDna Thahre
wo shahr-e-sang-dilan saKHt imtihan mein hai
mujhe adu ki baqa bhi aziz hai 'akbar'
ki ek phul si diwar darmiyan mein hai
Ghazal
Tamam aalam-e-imkan mere guman mein hai
Akbar Hameedi