Talne ke nahin ahl-e-wafa KHauf-e-ziyan se
ye bahs magar kaun kare ahl-e-zaman se
rag rag mein rawan bahr-e-fughan chaDh gaya lekin
virani-e-jaan kam to hui zikr-e-butan se
roghan na safedi na marammat se milega
ek pas-e-maraatib ki gaya sab ke makan se
aazar-o-musibat se ilaqa hai purana
rishta hai qadimi mera fariyaad-o-fughan se
ghaw bhi zara tak ke yaron ne lagae
kuchh dil ko bhi nisbat thi bahut nok-e-sinan se
ek gosha-e-dil us ko dikhane ka nahin ye
mahram nahin karna use ek sirr-e-nihan se
sarsabz rahe zaKHm-e-junun jis ki badaulat
ek rabt to qaem hai adu-e-dil-o-jaan se

Ghazal
Talne ke nahin ahl-e-wafa KHauf-e-ziyan se
seemab zafar