talKHiyan rah jaengi lafz-e-wafa rah jaega
darmiyan iKHlas ke phir ek KHala rah jaega
hadsat-e-zindagi par ghaur karna chahiye
chhuT jaega niwala sab paDa rah jaega
aanganon ke darmiyan diwar jo uTh jaegi
dhup mein apna koi bahar khaDa rah jaega
din ke hangame mein gum ho jaega mera wajud
aaine mein mujh sa koi dusra rah jaega
is masafat ki kabhi takmil mumkin hi nahin
aane jaane ka faqat ek silsila rah jaega
dekh kar makruh sazish ganw ki dahliz tak
sochta hun main 'nizami' kya bacha rah jaega
Ghazal
TalKHiyan rah jaengi lafz-e-wafa rah jaega
Hasan Nizami