talKHis ke badan mein tafsir bolti hai
takmil-e-arzu mein tadbir bolti hai
ye moajiza bhi dekha hum ne kalam-e-fan ka
chup ho agar musawwir taswir bolti hai
tazin-e-anjuman ke hum ne jo KHwab dekhe
ab kirchiyon mein un ki tabir bolti hai
wo lab-kusha ho jis dam lagta hai har kisi ko
har lafz mein usi ki taqdir bolti hai
banta hai muflison ka wo gham-gusar lekin
andaz-e-guftugu mein jagir bolti hai
jazbon pe lakh koi pabandiyan laga de
izhaar mein unhi ki tasir bolti hai
KHamosh hain qafas ke diwar-o-dar to kya hai
Takra ke har qadam se zanjir bolti hai
jab aagahi ka azhdar Dasta hai aadmi ko
mafhum nachte hain tahrir bolti hai

Ghazal
TalKHis ke badan mein tafsir bolti hai
Sarwar Arman