talKHi-e-nau shakar-amez hui jati hai
zindagi aur dil-awez hui jati hai
kis ne lafzon pe ye chupke se kamanden phenkin
jo zaban hai wo kam-amez hui jati hai
dast-e-qatil mein nazar aati hai ek shaKH-e-gulab
zindagi phir bhi to KHun-rez hui jati hai
mahmil-e-waqt mein raushan hain farasat ke charagh
phir bhi auham ki lau tez hui jati hai
jab se gulfam-nigarish hue ghaalib ke KHutut
shaKH-e-tahrir bhi gul-rez hui jati hai
tishnagi ban ke chhalak jaen na alfaz kahin
guftugu honTon pe labrez hui jati hai
ab dhundlakon ke sahaare hain ghanimat 'mutrib'
raushni fitrat-e-changez hui jati hai

Ghazal
TalKHi-e-nau shakar-amez hui jati hai
Mutrib Nizami