talKHi-e-gham mere ehsas ka sarmaya hai
husn se main ne ye inam-e-wafa paya hai
jab kabhi ishrat-e-rafta ka KHayal aaya hai
main nai pahron dil-e-be-tab ko samjhaya hai
hae ye be-KHudi ishq ko malum nahin
kaun aaya hai kab aaya hai kahan aaya hai
dil ko simab sifat kah ke guzarne wale
KHud pe taDpa hai ki tu ne use taDpaya hai
kafir-e-ishq na samjhun to use kya samjhun
mere iKHlas ko ek dost ne Thukraya hai
apni is haar ko main jit na kyun kar samjhun
KHud ko khoya hai to ai dost tujhe paya hai
tum mere haal-e-pareshan pe na tanqid karo
tum ne daman kabhi kanTon mein bhi uljhaya hai
manzil-e-dil bhi wahi ku-e-malamat bhi wahi
ishq ka jazba-e-be-tab kahan laya hai
aankh jhapkegi to shiraaza bikhar jaega
kis ki aawaz thi jis ne mujhe chaunkaya hai
jis ko kahte hain ghazal us ki badaulat hi 'uruj'
ruKH-e-urdu pe ye rang aur nikhaar aaya hai

Ghazal
TalKHi-e-gham mere ehsas ka sarmaya hai
Urooj Zaidi Badayuni