اردو हिंदी
TalKH-tar aur zara baada-e-safi saqi | Shaahi Shayari
talKH-tar aur zara baada-e-safi saqi

Ghazal

TalKH-tar aur zara baada-e-safi saqi

Aziz Hamid Madni

;

talKH-tar aur zara baada-e-safi saqi
mere sine mein KHas-o-KHar hain kafi saqi

zulmat o nur ko pyalon mein samo deti hai
sham paDte hi teri chashm-e-ghilafi saqi

zahr ka jam hi de zahr bhi hai aab-e-hayat
KHushk-sali ki to ho jae talafi saqi

nashsha-e-mai se zara zaKHm ke Tanke TuTe
ta-abad silsila-e-sina-shigafi saqi

zindagani ka maraz kam nahin hone pata
ye maraz kam na ho allah hai shafi saqi

kaT di gardish-e-ayyam ki zanjir us ne
kaun hai gardish-e-mina ke munafi saqi

ek kaf-e-ju hai mata-e-KHirad o sikka-e-hosh
jam-e-mai de ki ye aalam hai izafi saqi