اردو हिंदी
Talaf karegi kab tak aarzu ki jaan aarzu | Shaahi Shayari
talaf karegi kab tak aarzu ki jaan aarzu

Ghazal

Talaf karegi kab tak aarzu ki jaan aarzu

Mohammad Aazam

;

talaf karegi kab tak aarzu ki jaan aarzu
taDap rahi hai har taraf lahuluhan aarzu

phira ke dida-e-tapan mein mom ke mujassame
kahan kahan karegi did ka ziyan aarzu

zara sa hath kya laga habab sa bikhar gaya
jise samajh rahi thi ek aasman aarzu

tu chashm hi mein rah agar pasand hai kushadgi
ki dil hai tang aur is mein yak jahan aarzu

isi ke hain sabab se sab ye hijr ki saubaten
kahan se aa gai hamare darmiyan aarzu

tu aaftab hai main gul dua tere sukun ki
kisi ki shan qahr hai kisi ki shan aarzu

ilahi KHair itne sin pe aandhiyon ki dosti
abhi to sikh pai bhi nahin uDan aarzu

shajar hajar zamin aasman sab ko zoaf hai
magar ye ek jawan ki rahi jawan aarzu