talab mein bose ki kya hai hujjat sawal digar jawab digar
samajh ke kah baat be-murawwat sawal digar jawab digar
kalam tujh se hai aur apna suKHan ko hum tere kyunki jaanen
zara ye khulti nahin haqiqat sawal digar jawab digar
main apne matlab ki kah raha hun wo aaina-ru ek aib mein hai
bhala ho milne ki KHak surat sawal digar jawab digar
agar kahun main sanwaro zulfen to wo bigaDte hain de ke gali
ajab nasibon ki kuchh hai shamat sawal digar jawab digar
mera to paigham wasl ka hai tumhaari taqrir hijr ki hai
butan hai ye bhi KHuda ki qudrat sawal digar jawab digar
kaha jo main ne ki do mera dil to bole hans kar kidhar hai dili
kahun to kya aur un ko rahmat sawal digar jawab digar
Ghazal
Talab mein bose ki kya hai hujjat sawal digar jawab digar
Shah Naseer