talab ki rahon mein sare aalam nae nae se
shajar hajar log shahr mausam nae nae se
chamak raha tha falak pe suraj naya naya sa
luTa chuki thi KHazane shabnam nae nae se
hain ab bhi aankhon ke didbanon mein apni wo din
lage diyar-e-sahar ko jab hum nae nae se
tamawwujon ki ragon mein shorish nai nai si
lahu ke jhagDe badan mein paiham nae nae se
purane hote hue sahife daraKHt insan
ye chand suraj sitare har dam nae nae se
kabhi to aaenge shaKH-e-dil par gulab taza
milenge 'asad' hamein bhi mausam nae nae se
Ghazal
Talab ki rahon mein sare aalam nae nae se
Asad Badayuni