اردو हिंदी
Talab ki aag kisi shola-ru se raushan hai | Shaahi Shayari
talab ki aag kisi shola-ru se raushan hai

Ghazal

Talab ki aag kisi shola-ru se raushan hai

Qabil Ajmeri

;

talab ki aag kisi shola-ru se raushan hai
KHayal ho ki nazar aarzu se raushan hai

janam janam ke andheron ko de raha hai shikast
wo ek charagh ki apne lahu se raushan hai

kahin hujum-e-hawadis mein kho ke rah jata
jamal-e-yar meri justuju se raushan hai

ye tabish-e-lab-e-lalin ye shola-e-awaz
tamam bazm teri guftugu se raushan hai

visal-e-yar to mumkin nahin magar naseh
ruKH-e-hayat isi aarzu se raushan hai