talatum hai na jaan-lewa bhanwar hai
ki bahr-e-maslahat ab mustaqar hai
dar-e-sayyaad par barpa hai matam
qafas mein jab se zikr-e-baal-o-par hai
takallum ka karishma ab dikha do
tumhaari KHamushi mein shor-o-shar hai
karun kya aarzu-e-sarfaraazi
ki jab neze pe har pal mera sar hai
mili mohlat to dil mein jhank lunga
abhi to zehn par meri nazar hai
chaDhe dariya mein TuTi naw khena
kahani zindagi ki muKHtasar hai
agar sauda rahe sar mein to 'arshad'
har ek diwar ke sine mein dar hai
Ghazal
Talatum hai na jaan-lewa bhanwar hai
Arshad Kamal