talash kar na zamin aasman se bahar
nahin hai rah koi is makan se bahar
bas ek do hi qadam aur the safar wale
thakan dekh na pai thakan se bahar
nisab darja-ba-darja yun hi badalta hai
hua na koi bhi imtihan se bahar
usi ki justuju akasr udas karti hai
wo ek jahan jo hai har jahan se bahar
namaziyon se kaho dekhen chand-suraj ko
nikal rahe hain muazzin azan se bahar
Ghazal
Talash kar na zamin aasman se bahar
Nida Fazli