talash-e-yar mein guzri hai zindagi tanha
bhaTak raha hun andheron mein aaj bhi tanha
wahan to sans bhi lena azab lagta hai
sisak rahi ho jahan koi zindagi tanha
akela main hi nahin hun asir-e-zulmat-e-gham
bujha bujha hai andheron mein chand bhi tanha
tamam chand sitaron ka nur ek taraf
aur ek samt hai suraj ki raushni tanha
mere KHulus mein shayad kami hai kuchh warna
mujhi se karte hain kyun log dushmani tanha
kisi ki zulf ka saya talash kar warna
'asar' guzar na sakegi ye zindagi tanha
Ghazal
Talash-e-yar mein guzri hai zindagi tanha
Mahfooz Asar