talash-e-rizq mein diwan karta rahta hun
abhi safar nahin saman karta rahta hun
KHud apni rah mein aksar pahaD ugata hun
KHud apni mushkilen aasan karta rahta hun
sajata rahta hun kaghaz ke phul shaKHon par
main titliyon ko pareshan karta rahta hun
main tuKHm-e-ashk se tufan ugane ki zid mein
tamam-shahr ko hairan karta rahta hun
mere makan mein dhuan bhi ghuTan bhi hai lekin
main KHushbuon ko bhi mehman karta rahta hun
Ghazal
Talash-e-rizq mein diwan karta rahta hun
Asad Badayuni

