takmil-e-ishq jab ho ki sahra bhi chhoD de
majnun KHayal-e-mahmil-e-laila bhi chhoD de
kuchh iqtiza-e-dil se nahin aql be-niyaz
tanha ye rah sake to wo tanha bhi chhoD de
ya dekh zahid us ko pas-e-parda-e-majaz
ya e'tibar-e-dida-e-bina bhi chhoD de
kuchh lutf dekhna hai to sauda-e-ishq mein
ai sarfarosh sar ki tamanna bhi chhoD de
wo dard hai ki dard sarapa bana diya
main wo mariz hun jise isa bhi chhoD de
aankhen nahin jo qabil-e-nazzara-e-jamal
talib se kah wo zauq-e-tamasha bhi chhoD de
hai barq-pashiyon ka gila 'sehr' ko abas
kya us ke waste koi hansna bhi chhoD de
Ghazal
Takmil-e-ishq jab ho ki sahra bhi chhoD de
Sehr Ishqabadi