اردو हिंदी
Takmil-e-ishq jab ho ki sahra bhi chhoD de | Shaahi Shayari
takmil-e-ishq jab ho ki sahra bhi chhoD de

Ghazal

Takmil-e-ishq jab ho ki sahra bhi chhoD de

Sehr Ishqabadi

;

takmil-e-ishq jab ho ki sahra bhi chhoD de
majnun KHayal-e-mahmil-e-laila bhi chhoD de

kuchh iqtiza-e-dil se nahin aql be-niyaz
tanha ye rah sake to wo tanha bhi chhoD de

ya dekh zahid us ko pas-e-parda-e-majaz
ya e'tibar-e-dida-e-bina bhi chhoD de

kuchh lutf dekhna hai to sauda-e-ishq mein
ai sarfarosh sar ki tamanna bhi chhoD de

wo dard hai ki dard sarapa bana diya
main wo mariz hun jise isa bhi chhoD de

aankhen nahin jo qabil-e-nazzara-e-jamal
talib se kah do zauq-e-tamasha bhi chhoD de

hai barq-pashiyon ka gila 'sehr' ko abas
kya us ke waste koi hansna bhi chhoD de