taklif-e-iltifat-e-gurezan kabhi kabhi
yun bhi hui hai pursish-e-pinhan kabhi kabhi
meraj-e-did jalwa-e-jaanan kabhi kabhi
hum bhi rahe hain nazish-e-dauran kabhi kabhi
ye aur baat rabt-e-musalsal na kah saken
chuma hai hum ne daman-e-jaanan kabhi kabhi
naqsh-e-KHayal aap ki taswir ban gaya
ye moajiza hua hai numayan kabhi kabhi
bandi-nawazi-e-karam-e-gah gah se
hum bhi the kainat-badaman kabhi kabhi
laghzish ki baat wirsa-e-adam ki baat hai
khata hai Thokaren dil-e-insan kabhi kabhi
karwaT badal gai hai teri waza-e-iltifat
dekha hai ye bhi KHwab-e-pareshan kabhi kabhi
ye sar-kashi ke nam se mansub hi sahi
hota hai dil bhi sar-ba-gareban kabhi kabhi
aksar nashat-e-sair-e-gulistan-e-be-KHizan
andaza-e-fareb-e-bahaaran kabhi kabhi
mere labon pe mauj-e-tabassum ke bawajud
gham ho gaya hai ruKH se numayan kabhi kabhi
kahna paDa hai jalwa-e-sad-rang rokiye
nazren hui hain itni pareshan kabhi kabhi
KHud apne aas-pas andheron ko dekh kar
ghabra uThi hai subh-e-bahaaran kabhi kabhi
daman bacha ke hum to guzar jaen ai 'uruj'
KHud chheDti hai gardish-e-dauran kabhi kabhi

Ghazal
Taklif-e-iltifat-e-gurezan kabhi kabhi
Urooj Zaidi Badayuni