taKHta-e-mashq-e-sitam mujh ko banane wala
tha wahi roz mere KHwab mein aane wala
muntashir kar diya shiraaza-e-hasti jis ne
KHana-e-dil ko mere tha wo sajaane wala
roz karta raha wo wada-e-farda mujh se
umr bhar ahd-e-wafa tha jo nibhane wala
us ne manjdhaar mein kashti ko meri chhoD diya
tha jo tufan-e-hawadis se bachane wala
pahle karta tha pas-e-parda meri beKH-kuni
kaamyabi ka meri jashn manane wala
sabiqa jis se paDa maslahat-andesh tha wo
dost hota nahin har hath milane wala
mar Dale na ye tanhai ka ehsas mujhe
muntazir jis ka tha ab wo nahin aane wala
jis se dil-jui ki ummid thi nikla wo raqib
jis ko dekho hai wahi mujh ko satane wala
aish-o-ishrat ke sada KHwab dikhata tha use
ghamza-o-naz se 'barqi' ko lubhane wala
Ghazal
TaKHta-e-mashq-e-sitam mujhko banane wala
Ahmad Ali Barqi Azmi