اردو हिंदी
TaKHta-e-ab-e-chaman kyun na nazar aawe sapaT | Shaahi Shayari
taKHta-e-ab-e-chaman kyun na nazar aawe sapaT

Ghazal

TaKHta-e-ab-e-chaman kyun na nazar aawe sapaT

Mushafi Ghulam Hamdani

;

taKHta-e-ab-e-chaman kyun na nazar aawe sapaT
yaad aawe mujhe jis dam wo nigammud ka ghaT

zindagani ka maza zer-e-falak ab na raha
ya-rab aisa ho ki mil jae kahin paT se paT

fann-e-kashti mein qayamat hai wo but gazir ka
dhum deta hai macha aawe hai jab dhobi paT

jate hi wadi-e-wahshat mein qadam mara main
chaman-e-dahr se dil apna hua jab ki uchaT

KHak-e-dehli mein kya jab se nasara ne amal
shor-e-gujar hi raha aur na hangama-e-jaT

tark ghamze ka magar bar-sare-e-saffaki hai
us ke kuche se chali aati hai jab khaT pe khaT

qatl-e-ashiq ka jo hota hai irada us ko
pahle dekhe hai KHar o gaw pe talwar ka kaT

koi sikhe bhi qanaat ko to sag se sikhe
paD rahe hai wo ba-yak gosha diya raat ko chaT

roz hangama hai is gumbad-e-nili ke tain
'mushafi' shak nahin bigDa hai magar nil ka maT