taKHt-nashinon ka kya rishta tahzib-o-adab ke sath
ye jab chahen jang kara den rustam ki sohrab ke sath
zulm-o-tashaddud ke shaidai shayad tujh ko ilm nahin
tere bhi sapne TuTenge mere har ek KHwab ke sath
kankar patthar ki tamiren mazhab ka mafhum nahin
zehnon ki tamir bhi kije gumbad aur mehrab ke sath
qatil ban kar wo bhi khaDe hain aaj hamare pesh nazar
hum ne jin ko izzat baKHshi ezaz-o-alqab ke sath
urdu ko KHud KHun baha kar joD rahe hain rishte log
'ghaalib'-o-'momin' 'munshi'-o-'mulla' 'chakbast'-o-'simab' ke sath
rafta rafta Dub rahe hain maiKHane virani mein
jab se meri pyas ka rishta qaem hai zahrab ke sath
aiwanon mein amn-o-aKHuwwat ki jo baaten karte hain
apna apna daman dekhen kashmir-o-panjab ke sath
yaron ki tota-chashmi ka aaKHir itna shikwa kyun
'rahbar' tum bhi kab muKHlis the KHud apne ahbab ke sath

Ghazal
TaKHt-nashinon ka kya rishta tahzib-o-adab ke sath
Rahber Jaunpuri