taKHliq ke parde mein sitam TuT rahe hain
aazar hi ke hathon se sanam TuT rahe hain
Dhai kahin jati hai jo tamir-e-mohabbat
mahsus ye hota hai ki hum TuT rahe hain
suljhe na masail gham o aflas ke lekin
tafsir-e-masail mein qalam TuT rahe hain
be-faiz guzar jate hain gulshan se hamare
mausam ke bhi ab qaul-o-qasam TuT rahe hain
raqqas-e-shabistan-e-hawas tujh ko KHabar hai
aaine tere zer-e-qadam TuT rahe hain
raat aur jawan ho to ujala ho faza mein
palkon se sitare abhi kam TuT rahe hain
bedar hue jate hain ijad ke shoale
har lahza tilismat-e-adam TuT rahe hain
allah-re kashish us nigah-e-zohd-shikan ki
markaz se ghazalan-e-haram TuT rahe hain
allah ke hote mujhe kyun fikr ho 'kausar'
bandon ke jo aain-e-karam TuT rahe hain
Ghazal
TaKHliq ke parde mein sitam TuT rahe hain
Kausar Jayasi