taKHliq-e-kaenat digar kar sake to kar
paida KHud apne sham-o-sahar kar sake to kar
phulon mein shab guzarna mushkil nahin koi
kanTon pe koi raat basar kar sake to kar
achchha nahin kisi ki tamanna se khelna
achchha yahi hai is se hazar kar sake to kar
har ashk-e-KHun hai maKHzan-e-sarmaya-e-hayat
har ashk-e-KHun ko lal-o-gohar kar sake to kar
tare marahil-e-safar-e-shauq hi sahi
taron ko bhi sharik-e-safar kar sake to kar
aql-o-KHirad ke marhale tai kar liye to kya
wahm-o-guman ke marke sar kar sake to kar
'faruq' ye bahaar-e-chaman phir na aaegi
yaran-e-mai-kada ko KHabar kar sake to kar
Ghazal
TaKHliq-e-kaenat digar kar sake to kar
Bashir Farooq