taKHil ka dar khole hue sham khaDi hai
goya koi taswir KHayalon mein jaDi hai
har manzar-e-idrak mein phir jaan paDi hai
ehsas-e-farawan hai ki sawan ki jhaDi hai
hai wasl ka hangam ki sailab-e-tajalli
tufan-e-tarannum hai ki ulfat ki ghaDi hai
tahzib-e-alam kahiye ki irfan-e-gham-e-zat
kahne ko to do lafz hain har baat baDi hai
saya ho shajar ka to kahin baiTh ke dam len
manzil to bahut dur hai aur dhup kaDi hai
sine pe mere waqt ka ye kaun giran hai
neze ki ani ya ki kaleje mein gaDi hai
wo meri hi gum-gashta haqiqat to nahin hai
raste mein kai roz se shai koi paDi hai
har lahza piroti hun bikhar jate hain har bar
lamhat-e-gurezan hain ki moti ki laDi hai
hum aur KHuda ka bhi ye ehsan uThate
insan hain kuchh aisi hi baat aan paDi hai
Ghazal
TaKHil ka dar khole hue sham khaDi hai
Zahida Zaidi