taKHayyul mein kabhi jab aap ki taswir ubhri hai
to kaghaz par qalam ki nok se tahrir hai
meri qismat ki kashti bahr-e-gham mein Dub sakti thi
teri taqdir se shayad meri taqdir ubhri hai
teri yaadon ka suraj mustaqil gardish mein ho jaise
kahin par din nikal aaya kahin tanwir ubhri hai
hina ke phul hathon par saja ke ye kaha us ne
hatheli par tumhaare pyar ki zanjir ubhri hai
abhi tak nind ke panchhi jo palkon par nahin utre
meri aankhon mein tere KHwab ki tabir ubhri hai
chale bhi aao 'anwar' zindagi ki aaKHiri shab hai
tumhaari yaad hai aur hasrat-e-dil-gir ubhri hai
Ghazal
TaKHayyul mein kabhi jab aap ki taswir ubhri hai
Anvar Kaifi