takallum jo koi karta hai fani
hamari aur tumhaari hai kahani
junun mein yaad hai ek bait-e-abru
kahan hai ab dimagh-e-sher-KHwani
maal-e-ashiq o mashuq hai ek
suna hai sham-e-sozan ki zabani
nishan hum be-nishanon ka na paya
saba ne muddaton tak KHak chhani
wo aashiq hun na aae nind mujh ko
sunun jab tak na yusuf ki kahani
nahin bachta hai bimar-e-mohabbat
suna hai hum ne 'goya' ki zabani
Ghazal
Takallum jo koi karta hai fani
Goya Faqir Mohammad