takalluf hai murad-e-dil ka dil par bar ho jaana
mohabbat kya hai marne ke liye tayyar ho jaana
na kaam aaya un aahon ka falak ke par ho jaana
mere sone se mushkil tha tera bedar ho jaana
nazar milte hi un se aa gaya sara asar dil mein
use aata na tha pahle kabhi bimar ho jaana
wafa ka rahbar hai tuda-e-KHaki ki jaan us ko
kaman-kash dil hai aage ek zara hushiyar ho jaana
ye tufan ashk ka kam ho to samjhun Dub kar ubhra
isi matlab ko sab kahte hain beDa par ho jaana
tah-e-shamshir ja-e-mardum-e-did hai dekh ai dil
yunhi tu bhi usi din ke liye tayyar ho jaana
zara si ek nigah-e-ishq mein aankhon se girta hai
bahut aasan hai insan ka be-kar ho jaana
dil-e-sayyaad se shikwa karun kya sahal hai is ko
adu phulon ka ho kar ham-ziyan-e-KHar ho jaana
hua jo kuchh hua mamnun hun sahba-e-ghaflat ka
qafas mein aa ke ab be-kar hai hushiyar ho jaana
ye kaisi na-tawani hai ki dil mahsus karta hai
mere kandhon pe KHud mere hi sar ka bar ho jaana
nazar ko ek jumbish aur de ai dekhne wale
ishaare par hai in zaKHmon ka damn-dar ho jaana
baham hain be-hisi-o-his ki dil ko KHwab aata hai
kabhi shaq ho ke dar hona kabhi diwar ho jaana
tumhaare zoam mein rahraw ka raste se guzarna hai
kisi chhuTe hue nawak ka dil ke par ho jaana
tera aawaza-e-husn-e-suKHan achchha nahin 'saqib'
nazar paDti hai tujh par ek zara hushyar ho jaana

Ghazal
Takalluf hai murad-e-dil ka dil par bar ho jaana
Saqib Lakhnavi